Saturday, June 4, 2011

Wah kya Chasma hai!!!

Chasme ki jarurat nahi hai phir bhi pichle paanch saalon se ek chasma jeb me liye ghum raha hun.kabhi jeb k andar he rakhta hun to kabhi use dono kaanon par chada leta hun. Ab aapse kya chupaun.college me padhta tha tabhi chasme pehenne ka sauk lag gaya. Ab chasmal layen to layen kaise.Bus humne bhi wahi kiya jo zamana karta hai-jad diya bahana.Keh diya ghar mein ki aankh me pareshani hai,doctor ko dikhana padega.Aur yun humne kharid liya apna dusra chasma.Han bhai sahib! Hamara dusra chashma.Ab ye mat kahiyega ki abhi to mai dusre ko hi pehla bata raha tha (ya maine bataya hi nahi).to bandhu baat ye hai ki dusra chasma”chasma” tha aur pehla goggle tha …goggle.Pure paanch kilometer chal kar gaye the use lene…paanchvi me padhte the..badi mehnat rahi pyare;par vidambana ye rahi ki goggle to kharid liya par pehne kaise bhai….humein suit her nahin kiya muaan chasma…sorry guggle.par ye to manna he padega ki hamare dusre chasme ne hamara saath khub nibhaya.Wah kya chasma hai…kabhi dekha hai aisa chasma…saalon saal chale…wah

To baat jab chasme ki ho ….to bus hamare chasme ki ho!....hamari to yahi khwaish hai…

Par aaj to badi gadbad ho gai hai pyare…Ghar-Ghar me chasma hai…..bache bache ki aankh me chasma hai…aur ye chasma koi paardarshi chasma nahi hai balki ek adhbhut chasma hai…bus ise lagaiye aur aap dekh kar bhi nahi dekhenge…..achhi baat ye hai ki is chasme k saath hai bada offer….ek chasme par ek headphone free-waah bhaiya…na dekho..na suno.Hamare neta,mantri,collector aadi yahi chasma to pehnte hain.Ye khas chasma to hamare chasme ka baap hai baap……ye to aapki aankhon ka paani he nichod le …..phir kya ?...jo karna hai kariye…jahan lena hai lijiye..jise dena hai dijiye…..jai ho chasma baba ki….har har chasma mahadev

Main aur man


“Main” aur Man

He prabhu mujhe yeh war de do,
Mere man ko vismrit karke ;
Isme thoda sa ras bhar do|

Mera mai mujhse ruth gaya
Wah pyala ab hai toot gaya;
Sab chhuta,sab kuch hai toota
Mano kapas ka phal foota|

Rui jyon halki hoti hai
Mera man bhi tyon ho jaye;
Iske andar k mail sabhi
Mitti me milkar kho jaayen|

Man dena hai to aisa do
Jo ho him k aalay jaisa;
Jisme ho mansarovar bhi
Aur ganga ki sheetalta bhi|

Mera mai mujhse rutha hai
Shayad wah kad me chhota hai;
‘Main’ jiska jitna bada hua
Wah utna upar khada hua|
Kehta hun isko sun lena
Man k main me bas mat rehna
Man ka main jab mit jayega
Ek naya savera aayega….
Sheetal jal ki kucch bundon se;
Hi jalprapat ban jayega………

Man ki koi seema nahi…….aur hamara ‘main’ to kabhi hamara peecha hi na chodega. 24 saal umar ho gai par aaj bhi us cheej ki talaash hai jise ekagrata kehte hain…………..likhte rehte hain….maangte rehte hain…kya jaane kis bhes me narayan mil jayen!!!!

Suraj Kyon Maun Rahe(Poem)



Suraj Kyon Maun Rahe

Patton ki bundon ko
Dharti par gir jaane do,
Badlon ka seena chir
Suraj ko aane do|

Dharti abhi narma hai
Bhiga uska charm hai,
Chamdi k daag ko
Mitti me mil jaane do-
Suraj ko aane do|

Patton me hariyali hai
Kintu dhara kaali hai,
Kirno ka swarna rup
Dharti me tarne do,
Kirno ko jharne do|

Aaj dhara sukh gai
Daal hari tut gai,
Paani ki bund gai,
Dharti hai phoot gai|

Suraj ki swarna lehar
Aag si pratit howe,
Dharti ka cheer haran! !
Suraj kyon maun rahe?


Haath jo mein kaatun tera ,haath mera bhi kate;
Mai dilaun ashru tujhko,ashru mujhko bhi mile|
By Rakesh Tripathi

Glossary:
Dharti ka cheer haran –deforestation
About the poem:
The poem reflects the ongoing deforestation process and its effect on the temperature rise on earth which results in drought conditions. The poem visualizes that the sun is reacting to our deeds which have uncovered the holy mother i.e. Earth.It reflects the conditions before and after deforestation.